|
"BEETA MAUSAM"
Posted On: 18/11/2007 20:37:26
|
"BEETA MAUSAM" --------------------------------
Mausam ki tarah janay kiu kuch log badal gaye ub sarary musam dil kay janay kiu khizaan hu gaey
Ajeeb say dasht-o-sehra main bhatak rahe hain hum seairaab hu kay samandar say janay kiu pyasay hu gaey
Jalti hui rait main nagain paoon chltian hain ub tu hum tapti hui dhoop main janay kiu be-saibaan hu gaey
Bari muddat kay baad ek roshni ki chamak ju mili thi humain wo chandi ki roshni wo tarey sub janay kiu undhera hu gaey
Meri mohabbat ku na keray gi shumar wo kahbhi upni zindagi main hum us ajnabee kay payr main janay kiu dewane hu gaey
Koi malaal na koi yaad baqi rahi hay ub dil main humaray us ku tammam yadien lauta ker janay kiu hum jaan say gaey
Guzray dinu ki chund yaddon ku bhi ajj hum nay duffan ker dya aur sub kuch bhola ker hum bhi janay kiu ajnabee hu gaey
Humain ub na pukurna phir say ae dostoon khabhi is bewafa dunia main reh ker janay kiu hum bhi bewafa hu gaey
Bahaar phir say na aye gi ub is ujray huay chaman main ainy pholoon kay khilnay kay janay kiu wo sarey musam beet gaey
|